ب

khwab nama khwab men Burhiya dekhna

khwab nama khwab men Burhiya dekhna

khwab nama khwab men Burhiya dekhna

hazrat ibne sirin ne farmaya he k khwab men burhhiya aorat duniya he aor mota burhha musalman he jo kapron se aarasta he daleel he maal e halaal paaye ga agar dekhe k mota burhha maile kapron men he aor kaafir he iski taveel maal e haraam he agar burhhi aorat khubsurat karon wali aorat taveel men duniya aor akhrat he


agar dekhe k burhhi aorat aor musalman se shadi ki heaor janta he iski milk he daleel he maal hasil kare ga agar dekhe k burhhiya aorat he usko ghar se nikala he ya talaaq di he daleel he tark e duniya ki koshish kare ga aor raah e akhrat talash kare ga agar khwab dekhe k usne moti burhhiya se jmaa kia he daleel he duniya ki muraad paaye ga
burrhiya

1 khwab men burhhiya aajiz hone ki daleel he kabhi iski tabeer dunyavi shaan o shaoqat k khatam hone aor gham k milne ki kabhi burrhiya ko dekhna akhrat ko dekhna he kyun k ye dunya ki zid he kabhi is se sharaab aor gaaye bhi muraad hote hen k ye duniya ki zid hen kyun k inhen bhi arbi zubaan men burrhiya kaha jata he kabhi burhhiya ko dekhna mayousi k baad hamal hone ki alamat he kabhi iski dalallt makkr o fareeb par bhi hoti he


2 mareez burhhiya ujz aor piyaasi burhhiya qahat par dalallat karti he
3 agar burhhiya bachi ban jaaye to qahat k zawaal ki daleel he
4 agar na maloom burhhiya kisi mareez par dakhil ho to uski wafaat ka dar he
5 agar hamlaa aesa dekhe to us k liye behtari ki daleel he


6 agar kisi ahem kaam me laga hua shakhs burhhiya ko apne sath leta dekhe ya apna sathi dekhe to apne maqsad kaam se aajiz hoga burhhiya banjar zameen par bhi dalallat karti he jis se koi paidawar na ho
7 kharshi burhiya ko dekhna tangi aor nidamat ki daleel he buri shakal o surat wali burhhiya ko dekhna fitnaa aor laraai ko dekhna he kaafir burhhiya haraam maal jab k musalman burhiya bakhushi halaal maal he agar koi aorat burhhi ho jae to wo waqaar paye gi


8 na maloom burhiya qahat ki daleel he
agar burhhiya aasam se utre aor log us par taajub karen to yeh bhi qahat saali he kabhi bad shakal burhhiya larai aor qahat k zawaal ki daleel he laaghar burhiya bhi qahat saali ki alamt he agar wo moti ho jaaye aor khush shakal ban jaaye to qahat saali khatam ho jaaye gi banao singhaar karne wali aorat dunyavi basharat he aor an qareeb use khushkhabri naseeb hogi gham k sath dunya ka hasool zawaal e jagha he bad shakal aorat ek halat se dusri halat men tabdili he nangi burhiya dunyavi ruswai he


9 agar dekhe k burhiya ghar men dakhil hui to dunya k aane aor agar burhiya ghar se nikli he to dunya k jane ki daleel he na maloom burhiya ki tabeer ba nisbat maloom burhiya k ziyada sahi he burhiya k sath mil kar baham koshish karna dunya k milne ki daleel he
10 agar aesi burhhiya dekhe jis se nikah ki khwahish khatam ho chuki k us me nikah ki quwwat laut aai aor usne nikah kar liya to use deen o dunya dono hasil honge agar nikah halaal ho aor agar haraam ho to use sirf dunya hasil hogi
11 agar koi aorata khud ko burhhiya bane dekhe to dunyavi bhalai paane ki daleel he

khwab nama khwab men Burhiya dekhna
burhiya1-2burhiya2-2

Burhiya
(1) khwab main burhiya ajez hone ki daleel hai,kabhi us se

dunyavi shaan o shokat ka khatma or gum bhi murad hote

hain.kabhi burhiya ko dekhna akhrat ko dekhna hai kiyoke

yeh dunya ki zid hai.kabhi es sharab or gayee bhi murad

hote hain ke yeh dunya ki zid hai .kiyoke unhain bhi arbi

main ajjwz (burhiya )kaha jata hai.kabhi burhiya ko dekhna

mayoosi ke baad hammal hone ki daleel hai.kabhi us ki

dalalat makroh o freb pr bhi hoti hai.(2)mareez burhiya

ajjz pr or piyasi burhiya kahet pr dalalat krti hai.

اچھا خواب نعمتِ خدا وندی

حضورﷺ نے ارشاد فرمایا ” بشارتوں کے سوا کوئی چیز باقی نہیں رہی ۔ صحابہ نے عرض کیا ےیا رسولاللہ بشارتوں سے کیا مراد ہے آپ نے فرمایا سچا خواب ۔(صحیح بخاری عن ابی ھریرہ) بخاری ومسلم کی متفق علیہ حدیث ہے آنحضرت ﷺ نے ارشاد فرمایا کہ سچا خواب نبوت کا چھیاسواں حصہ ہے ۔

اس حدیث شریف معلوم ہوا کہ سچا خواب رویائے صالحہ علوم نبوت کا ایک جزو ہے اور علم نبوت باقی ہے گو انبیاءکرام کی آمد کا سلسلہ موقوف ہوچکا دوسرے لفظوں میں سچا خواب علوم نبوی کا عکس ہے۔

خواب کی اقسام

امام محمد بن سیرین ارشاد فرماتے ہیں کہ خواب تین قسم کے ہوتے ہیں ۔

1- مبشرات خداوندی –

2- تخویفِ شیطان) شیطان کے زیرِ اثر ) –

3- حدیثِ نفس یعنی ذہنی اور دماغی خیلات کا عکس –

اس تقسیم سے ظاہر ہوتا ہے کہ خواب کے تمام اقسام صحیح قابلِ تعبیر اوردر خوراعتناء نہیں ہوتے تعبیر اور اعتبار کے لائق وہی خواب ہوتے ہیں جو حق تعالیٰ کی طرف سے بشارت اور اعلام پر مبنی ہوں۔

علم تعبیر کے چھ مشہور امام
-علم تعبیر میں درج ذیل چھ آئمہ کرام کے اقوال کے بطور سند پیش کیا جاتا ہے
حضرت دانیال علیہ اسلام
حضرت امام جعفر صادق رضی اللہ تعالیٰ علیہ
حضرت امام محمد بن سرین رحمتہ اللہ علیہ
حضرت امام جابر مغربی رضی اللہ تعالیٰ علیہ
حضرت امام ابراہیم کرمانی علیہ رحمتہ اللہ علیہ
حضرت امام اسمعیل بن شوکت رحمتہ اللہ علیہ
تعبیر بیان کرنے کیلئے ضروری علوم
۔علم تفسیرعلم ضرب الامثالعلم حدیثاشعار عربعلم اشتقاق (صرف)نوادرعلم الغاتعلم الفاظ متد اَولہچنانچہ ایسے علماء ہے تعبیر بیان کرنے کے اہل ہیں جو ان علوم کے ماہر اور متقی پرہیزگار ہوں ۔

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button